Suno Suno O Gaaon Ke Lyrics
suno suno oh gaon ke rahne walo dekho dekho gaon me aaya ik vyapari door desh ke dhan se uski jeb hai bhari hai uske dil me arman khareide sab kheti khalyan hamara kar de wo kalyan wo aaya karke hai sari taiyari suno suno oh gaon ke rahne walo dekho dekho gaon me aaya ik vyapari pare hat itna sar mat chadh tujhe kya samjahe anpadh zara thehro ki hum samjhaega tum humko kehne do tumhare gaon me hum karkhana jab lagwaega to sare gaon ko hum shehar ke jaisa banaye ga jaha purwai ke badle me chimni ka dhuan hoga na fir ye dharti aisi hogi na fir ye asma hoga are ye bhi to socho ki jo kuch shehar ma hota hai vo sab kuch yaha hoga magar itna bata do mujhko tum bhaiya kisaan apni zami jo bech dega to kya hoga to fir tum ye kaho ki tum ko buri halat ki adat hai tarakki se tumhe nafrat garibi se mohabbat hai garibi se nahi mujhko garibo se mohabbat hai yahi hai meri pooja aur yahi meri ibadat hai aur tarakki ke liye kya socte ho tarakki wo nhi hoti jo ik dhanvan ka ghar bhar de lakin sakdo nirdhan rahe beghar jiye din raat mar mar ke tarakki wo nhi hoti to phir hum bhi sune tarakki tum kaun si chidiya ko kehte ho tarakki isko kehte hai ki har ik ghar me roti ho tarakki isko kehte hai ki har angan me jyoti ho tarakki isko kehte hai ki har ik seene me aasha ho tarakki ye nahi hoti ki bhasahn ho comission ho tamasha ho bahut naraz ho lekin suno zami hum tumse jo lenga to pura daam bhi denga yaha par mil banayega to sabko kaam bhi denga yaha tum apne aap malik ho magar ye seth ji ab tumko naukar banayega daam chalo ye bhi suno ke daam ye kitna chukaega ye wo dharti hai jisko mere purkho ne lahu se seench kar fasle ugai thi batao mere purko ke lahu ka daam kya doge ye dharti hai jiski god me bachpan mera khela ye dharti meri maa hai batao meri maa ki mamta ka daam kya doge zara dekho zara dekho hamare gaon walo ko dekho hawao me base hai geet hamari behno mao ke zami per dekhte hai hum nisha purkho ke paon ke yaha ke zarre zarre me hamari kitni yaade hain hamari jaan hai gaon meri pahchan hai gaon meri pehchan ka tum ye batao daam kya doge bahut pancham me baat kar raha hai magar ye to kahe kya chahta hai tumhare dil me gaon ka bhala hai to aao saath aao mere kande se tum kandha milao hum is dharti se wo fasle ugayein ke har bhuke ko hum roti khilae mita dale garibo ka ye kissa barabar ka mile har ik ko hissa na koi malik ho na koi naukar lutera ho koi na na koi beghar hum apne gaon ko aisa banaye hum apne desh ko aisa banaye bolo hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor hai manzoor