Kaise Besharm Aashiq Hai Lyrics
kaise besharm aashiq hai ye aaj ke kaise besharm aashiq hai ye aaj ke inko apna banana gjab ho gaya kaise besharm aashiq hai ye aaj ke inko apna banana gjab ho gaya dhire dhire kalai lage thamne dhire dhire kalai lage thamne inko anguli thamana gjab ho gaya dhire dhire kalai lage tham ne inko anguli thamana gjab ho gaya jo ghar me sil pe masala talak na pees sake unhe ye naz hume khak me milayenge kalai dekho to chhudi ka bhojh sah na sake or uspe dava ke talwar hum uthayenge fareb me in ka nahi koi insani ye jisko das le vo mange na umarbhar pani bada ajib hai dastur inki mehfil ka bulaya jata hai izat badhayi jati hai fir uske baad katal karke aashik ko badi dhoom se mayiyat uthai jati hai khata hamari hai jo humne unse pyar kiya bura kiya jo hasino pe aitbar kiya bhul humse hui inke aashik bane bhul humse hui inke aashik bane paas inko bulana gajab ho gaya bhul humse hui inke aashik bane paas inko bulana gajab ho gaya thokro me the jab tak to sidhe the ye thokro me the jab tak to sidhe the ye arey inko sir pe baithana gajab ho gaya thokro me the jab tak to sidhe the ye inko sir pe baithana gajb ho gaya hum orato ko nazar se utarne valo khabar bhi hai tumhe sher ki bhagarne valo ke zamin pe putli bhi ek orat hai jisme mard ko lalkarne ki himmat hai pehan ke sir pe dileri ka taj baithi hai jo ghar me thi vo singhasan pe aaj baithi hai ager jhuke to ye dil kya jaan bhi de de jo sir uthaye to mardo ki jaan bhi lele agar chhe phul ka haar hai yahi orat jo jid pe aaye to talwar hai yahi orat ye putli ban ke jamane ko mod sakti hai uthe to mard ka panja marod sakti hai teri himmat pe putli hume naz hai teri himmat pe putli hume naz hai tera maida me aana gajab ho gaya teri himmat pe putli hume naz hai tera maida me aana gajab ho gaya ek din bole farishte karle dunia ki sair ya khuda dunia teri suni hai orat ke baiger uth pade himmat dikhane ke liye kudrat ke hath soch li mola ne orat ko janam dene ki baat isi tarah malik ne ki karigari ki ittada chand se manga ujala nur suraj se liya roop sainyaro se manga rang usha se liya pankhadi se li nazakat or kaliyo se ada sham se kajal liya or subha se vada liya bijaliyo se kahar manga aag se gussa manga hosla chattan se or dard panchhi se liya aasma se julm manga sabr dharti se liya shaakh se angdaaiya jharano se ithlana liya bubule se nazuki or nadi se balkhana liya aayine se rehti tasvir se khamoshiya lahar se athkheliya maangi pawan se sokhiya aankh li hirni se or shabnam se aasu le liya badaliyo se julam or nazaro se jadu le liya laajvanti se sharm or raat rani se haya aabru moti se li suraj mukhi se li wafa zahar nagin se liya or saap se dasna liya katana bichhu se maanga or teer se chubhana liya lomdi se mang li ta umar ki makkariya makhiyo se shor or machhar se li aayariya itni chize jab lagi mola ke hath or in sab ko milaya jab khuda ne ek sath tab jakar badi mehnat se ek murat bani dil nashi figar bana ek dil ruba surat bani dekh kar apni kalakari ko mola has pada or usi anmol shai ka naam orat rakh diya rakh chuka jab naam uske baad yu kehne laga mai bana kar tujhe khud pareshan hu mai bana kar tujhe khud pareshan hu arey tujhko dunia me lana gajab ho gaya mai bana kar tujhe khud pareshan hu arey tujhko dunia me lana gajab ho gaya jab mere mola ne socha mard ko paida kare sabse pehle ye sawal aaya ke kudrat kya kare patharo se sandhi li or berukhi takdir se keher tufano se manga or gajab shamsir se li gadhe se akal or kauve se saiyanapan liya or kuch kutte ki tedhi dum se tedhapan liya ghat li billi se or chuhe se maanga bhagna or ullu se liya raato ko iska jagna le liya tote se aankhe fer lene ka chalan bhediye se khoon peene ka liya diwanapan li gayi girgit se har dam rang badalne ki ada jisse orat ko diya karta rahe dhokha sada to isko nafarmaniya bakshi gayi shaitan ki jhuth bole ye kha kar kasam bhagwan ki leke mitti me masala jab ye milvaya gaya sarkh us dam marad ki fitrat me ye paya gaya marad ke putlo me jis dam jaan dhaudai gayi usme orat ki bhi thodi si ada payi gayi orato me mard ki surat nahi milti janab par mardo me milte hai jannane behisab shakal mardo ki to adat janane ho gaye shakal mardo ki to adat janane ho gaye kya khuda ne chaha tha or kya na jane ho gaye ban chuke marad jab to mola ne mere yu kaha kya acha khasa banaya tha maine ise acha khasa banaya tha maine ise ban gaya ye janana gjab ho gaya acha khasa banaya tha maine ise ban gaya ye janana gjab ho gaya vaah rey putli bai kya dileri dikhayi teri himmat ke sadke teri jarurat ke sadke tu bahadur tu nidar akal or hosh tujhme jism orat ka lekin mard ka josh tujhme teri himmat ki kasam vakayi sher hai tu jisko samjhe na koi wo ulat fer hai tu teri himmat ki kasam wakayi sher hai tu tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya tera kar ke dikhana gajb ho gaya tune jo kuch bhi muh se kaha kar diya tera kar ke dikhana gajb ho gaya teri himmat pe putli hume naz hai tera maida me aana gajab ho gaya teri himmat pe putli hume naz hai