Mujhe Pyaar Hai Sirf Tumse Lyrics
mujhe pyaar hai, pyaar hai sirf tumse
  mere jeene ki bahaar hai sirf tumse
  meri zindagi gulzaar hai sirf tumse
  mera aaj yeh ikraar hai sirf tumse
  jaanam, na jaana chhod kar mujhe kabhi - 2
  jaanam, ho jaanam, haan jaanam
  ek khushi ki tamanna mujhko tadpa rahi thi
  yunhi tanhaaiyon mein zindagi jaa rahi thi
  meri duniya mein aake, mujhko apna banaake
  badal di tumne meri zindagi
  jaanam, na jaana chhod kar mujhe kabhi - 2
  jaanam, ho jaanam, haan jaanam
  umr bhar saath doonga main tera meet banke
  dekh na ab tamaashe mere deewaanepan ke
  is jahaan ko bhulaake, tumko dil mein chhupaake
  karoonga main tumhaari bandagi
  jaanam, na jaana chhod kar mujhe kabhi - 2
  jaanam, ho jaanam, haan jaanam
  mujhe pyaar hai, pyaar hai sirf tumse
  mere jeene ki bahaar hai sirf tumse
  meri zindagi gulzaar hai sirf tumse
  mera aaj yeh ikraar hai sirf tumse
  jaanam, na jaana chhod kar mujhe kabhi - 2
  jaanam, ho jaanam, haan jaanam
                            
                            
                        