Gadi Chali Badoda Se Jane Ko Lyrics
gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  lut gaya mera saman o daiya
  lut gaya mera saman
  lut gaya mera saman o daiya
  lut gaya mera saman
  gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  
  chhik chhik chhuk chhuk 
  chhik chhik chhuk chhuk 
  karti gadi pol se gujri
  kabhi surang ke andar gus gayi 
  aur kabhi wo bahar nikli
  sawan ka mausam tha pawan ka shor tha
  aadhi rat me barish ka kya jor tha
  thandi thandi khwabo ke jhonke aate the
  balo ko mere galo se takrate the
  dumki jagi aankh lagi aur so gayi
  thodi der me gehri nind me kho gayi
  galti apni kisi ko kaise mai du ab ilzam
  gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  are gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  
  gadi me thi bahut sawari ung rahi thi nind ki mari
  lekin sab the mard musafir mai hi keval ek thi nari
  log kahe titi bhi rat me aaya tha
  maine apna ticket usko bhi dikhaya tha
  haule haule gadi ke jhtke lagte the
  maza aa raha tha mujhe achhe lagte the
  chhupke chhupke hath paras me dal ke
  koi le gaya sara mal nikal ke
  na pahchanu na mai janu uska kya tha naam
  gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  
  station pe chhod ke gadi mai ja pahunchi thane
  thanedar ne ghur ke dekha aur laga muskane
  usne puchha chor ne mera kya kya mal churaya
  maine usko khol ke apna khali paras dikhaya
  meri khali jeb dekh ke shayad wo pachhtaya
  chala gaya wo chhod ke kamra laut ke phir na aaya
  samjh gayi mai rapat likhane ke lagte hai dam
  gadi chali badoda se jane ko ratlam
  mai soyi thi nind me koi kar gaya kam
  lut gaya mera saman o daiya
  lut gaya mera saman
  lut gaya mera saman o daiya
  lut gaya mera saman
                            
                            
                        