Dil Lagani Ki Na Do Saza Lyrics
dil lagane ki na do saja yu saja dur 
  mahbub se mahbuba kar diya o piya
  dil lagane ki na do saja yu saja dur 
  mahbub se mahbuba kar diya o piya
  
  husn mahfil me ruswa hua hai mere khwabo ka sauda hua hai
  bana dusman ye sara jaha hai haye mahbub mera kaha hai
  bhari barsat me ghar jala kyu jala dur 
  mahbub se mahbuba kar diya o piya
  
  boli anmol ki lag rahi hai sare bajar wo bik rahi hai
  ud na jaye haya ka dupatta sharm bhi besharam ho rahi hai
  mol anmol ka na laga na laga dur 
  mahbub se mahbuba kar diya o piya
  
  mai samjhti thi manjil milegi mere hatho me mehandi rachegi
  sej phulo se meri sajegi aaj saj dhaj ke doli uthegi
  in kaharo ne dhokh diya kyu diya dur 
  mahbub se mahbuba kar diya o piya
  dil lagane ki na do saja yu saja dur 
  mahbub se mahbuba kar diya o piya
                            
                            
                        