Paise Ki Pahachaan Yaha Insan Ki Kimat Koi Nahi Lyrics

paise ki pahchaan yahaan insaan ki qimat koyi nahi bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi biwi bahan maa beti na koyi paise ka sab rishta hai biwi bahan maa beti na koyi paise ka sab rishta hai aankh ka aansu khun jigar ka mitti se bhi sasta hai mitti se bhi sasta hai sabka teri jeb se naata teri zururat koyi nahi bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi shokh gunaaho ki ye mandi mitha zahar jawaani hai shokh gunaaho ki ye mandi mitha zahar jawaani hai kahte hai imaan jise wo kuchh noto ki kahaani hai kuchh noto ki kahaani hai bhukh hai mazhab is duniya ka aur haqiqat koyi nahi bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi zindagi kya hai chiz yahaan mat puchh aankh bhar aati hai zindagi kya hai chiz yahaan mat puchh aankh bhar aati hai raat me karti byaah kali wo bewa subah ho jaati hai bewa subah ho jaati hai aurat ban kar is kuche me rahti aurat koyi nahi bach ke nikal ja is basti me karta mohabbat koyi nahi karta mohabbat koyi nahi