Main Kaun Hoon Main Kya Hoon Lyrics
main kaun hoon main kya hoon mujhko pata nahi hai 

  usko saja mile kyun jiski khata nahi hai

  anaam anaam anaam anaam
  
  din raat nahi hote mausam na badalta hai 

  takdir ke aage to koi jor na chalta hai
  phir kaise gile shikawe phir kaisi shikaayat hai
  phir kaisi tamanna hai phir kaisi ye hasrat hai 
  phir kaisi tamanna hai phir kaisi yeh hasrat hai 
  main kaun hoon main kya hoon mujhko pata nahi hai
  usko saja mile kyun jiski khata nahi hai
  
  anjaan hoon manjil se na khabar mujhe raahon ki 

  sunwaayi nahi koyi majbur sadaao ki
  meri tarah se aise majbur na ho koyi
  apani hi chaahato se yun dur na ho koyi 
  apani hi chaahato se yun dur na ho koyi 
  main kaun hoon main kya hoon mujhako pata nahi hai
  usako saja mile kyun jisaki khata nahi hai
  anaam anaam anaam anaam
  
  mere naam hai kitne pal main anaam sa phirta hoon 

  chehara chhupaake main to gumnaam sa phirta hoon
  kya bhul huyi mujhase aaye hai kaise yeh din
  jina bhi huwa mushkil marana bhi nahi mumkin 
  jina bhi huwa mushkil marana bhi nahi mumkin 
  main kaun hoon main kya hoon mujhko pata nahi hai
  usko saja mile kyun jiski khata nahi hai
  main kaun hoon main kya hoon mujhko pata nahi hai
  usko saja mile kyun jiski khata nahi hai
  anaam anaam anaam anaam anaam anaam anaam