Phir Se Mausam Baharo Ka Aane Ko Hai Lyrics
phir se mausam baharo ka aane ko hai phir se rangi zamana badal jaayega phir se mausam baharo ka aane ko hai phir se rangi zamana badal jaayega abki bazm-e-charago, saja lenge hum ye bhi armaan dil ka nikal jaayega aap kar de jo, mujh par nigahe karam meri ulfat ka reh jayega kuch bharam aap kar de jo, mujh par nigahe karam meri ulfat ka reh jayega kuch bharam yu fasana to mera rahega wahi sirf unwaan uska badal jaayega fiki fiki si kyu, shaam-e-maikhana hai lutf-e-saaqi bhi kam, khaali paimana hai fiki fiki si kyu, shaam-e-maikhana hai lutf-e-saaqi bhi kam, khaali paimana hai apni nazro se hi, kuch pila dijiye rang mehfil ka khud hi badal jaayega mere mitne ka unko, zara gam nahi julf bhi unki ae dost barham nahi mere mitne ka unko, zara gam nahi julf bhi unki ae dost barham nahi apne hone na hone se, hota hai kya kaam duniya ka, yu hi to chal jaayega aapne dil jo zahid ka toda to kya aapne uski duniya ko, chhoda to kya aapne dil jo zahid ka toda to kya aapne uski duniya ko, chhoda to kya aap itne to aakhir, pareshan na ho wo sambhalte sambhalte, sambhal jayega phir se mausam baharo ka aane ko hai phir se rangi zamana badal jaayega abki bazm-e-charago, saja lenge hum ye bhi armaan dil ka nikal jaayega