Ye Suraj Chand Sitare (Part 1) Lyrics

ye suraj, chand, sitare sabke liye inke nazare par teri chamak, bas mere liye hai teri chamak, bas mere liye hai tu hai noor hamara tu hi man ke gagan ka suraj tu hi mere nayan ka tara ye suraj, chand, sitare sabke liye inke nazare par teri chamak, bas mere liye hai teri chamak, bas mere liye hai tu hai noor hamara tu hi man ke gagan ka suraj tu hi mere nayan ka tara tu tham ke ungli meri abhi sikh raha hai chalna mai har pal, sath hu tere tujhe mushkil nahi sambhalna mat thamna hath kisi ka tu apne bal par chalna pairo pe khada hone ko khud girna, khud hi sambhalna jo karte hai, khud pe bharosa jo karte hai, khud pe bharosa wo lete nahi sahara tu hi man ke gagan ka suraj tu hi mere nayan ka tara maange tu khilauna kya hai laake main de du khudai maine tere hi sapno se ghar ki har chiz sajai hai swarg yaha, narak yaha tere hath bigadna, sawarna jo khwab adhure chhodu wo khwab tu pure karna chalna tu waha se aage chalna tu waha se aage jaha ruke meri jiwan dhara tu hi man ke gagan ka suraj tu hi mere nayan ka tara ye suraj, chand, sitare sabke liye inke nazare par teri chamak, bas mere liye hai teri chamak, bas mere liye hai tu hai noor hamara tu hi man ke gagan ka suraj tu hi mere nayan ka tara