Tere Jalwe Abb Mujhe Lyrics
tere jalwe ab mujhe har so najar aane lage 

  kash ye bhi ho ke mujhme tu najar aane lage

  ittida ye thi ke dekhi thi khushi ki ek jhalak 

  imtiha ye hai ke gam har so najar aane lage 
  kash ye bhi ho ke mujhme tu najar aane lage
  tere jalwe ab mujhe har so najar aane lage 
  
  bekarari badhte badhte dil ki fitrat ban gayi 

  shayad ab taskeen ka pehlu najar aane lage 
  tere jalwe ab mujhe har so najar aane lage 
  kash ye bhi ho ke mujhme tu najar aane lage
  
  khatm karde ae sabaah ab sham-ae-gam ki dastaan

  dekh un ankhon mein bhi ansoo najar aane lage 