Hoga Na Hoga (Part 1) Lyrics
hoga na hoga pyar kabhi kam
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  kahi bhi raho tum kahi bhi rahe hum
  pyar tumhe hum karenge
  yaad tumhe hum karenge
  pyar tumhe hum karenge
  yaad tumhe hum karenge
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  pyar kabhi kam, pyar kabhi kam
  
  rahe na rahe sath hum tum
  rahenge hum sada tumhare
  rahe na rahe sath hum tum
  rahenge hum sada tumhare
  badle badal jaye duniya
  badle na dil ye hamare
  waqt chahe to imtiha le le
  imtiha le le chahe jaa le le
  sath chhute na tute 
  hamari ye kasam
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  pyar kabhi kam pyar kabhi kam
  
  mausam ye phulo ka mausam
  jab aaye hume yaad karna
  mausam ye phulo ka mausam
  jab aaye hume yaad karna
  lage na jo dil ye akele
  milne ki fariyad karna
  sath bachpan ka dil na bhulega
  dil jo bhulega hum na bhulenge
  dur hoke bhi hoke sada pas hai
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  pyar kabhi kam pyar kabhi kam
  
  jina hume to hai jina
  jivan tumhara hi hoke
  jina hume to hai jina
  jivan tumhara hi hoke
  jina wo jina kya jina
  jina o jab tumko kho ke
  naam tere ye zindagi likh di
  zindagi likh di har khushi likh di
  zindagi tu bane jab kahi le janam
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  kahi bhi raho tum kahi bhi rahe hum
  pyar tumhe hum karenge
  yaad tumhe hum karenge
  pyar tumhe hum karenge
  yaad tumhe hum karenge
  hoga na hoga pyar kabhi kam
  pyar kabhi kam pyar kabhi kam
                            
                            
                        