Aayina Mujhse Meree Pahelee See Surat Mange Lyrics

aaina mujhse meri pahli si surat mange aaina mujhse meri pahli si surat mange aaina mujhse meri pahli si surat mange mere apne mere hone ki nishani mange aaina mujhse meri pahli si surat mange main bhatakta hi raha dard ke virane me wakt likhta raha chehre pe har pal ka hisab meri shohrat meri deewangi ki nazar hui pi gayi me ki botal mere geeto ke kitab aaj lauta hu to hasne ki ada bhul gaya ye shehar bhula mujhe main bhi ise bhul gaya mere apne mere hone ki nishani mange aaina mujhse meri pahli si surat mange mera fanphir mujhe baazar me le aaya hai ye wo ja hai ke jaha mehro wafa bikte hai bap bikte hai aur lafte jigar bikte hai kokh bikti hai, dil bikte hai, sar bikte hai is badalti hui duniya ka khuda koi nahi saste daamo me har roj khuda bikte hai bikte hai, bikte hai mere apne mere hone ke nishani mange aaina mujhse meri pahli si surat mange har kharidar ko baazar me bikta paaya hum kya payenge kisine yaha kya paaya mere ehsaas mere phul kahi aur chale bol puja meri bachi kahi aur chale aur chale, aur chale