Ab To Hum Hai Aur Yeh Rusvaiya Lyrics
ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  kaun samjhe dard ki
  kaun samjhe dard ki gahraiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  
  hum to kal tak aapka armaan the
  hum to kal tak aapka armaan the
  aazoo the zindagi the jaan the
  ab humi par tohmate kyu aaiyan
  ab humi par tohmate kyu aaiyan
  kaun samjhe dard ki
  kaun samjhe dard ki gahraiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  
  besabab kyu ho gaye humse khafa
  besabab kyu ho gaye humse khafa
  un fasaano ki hakikat kya bhala
  maan baithe ho jinhe sachaiyan
  maan baithe ho jinhe sachaiyan
  kaun samjhe dard ki
  kaun samjhe dard ki gahraiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  
  kaisa shikwa kya shikayat kya gila
  hain shayad yahi wafa ka sila
  chal diye wo rah gayi
  chal diye wo rah gayi parchhaiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  kaun samjhe dard ki
  kaun samjhe dard ki gahraiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
  ab to hum hain aur ye ruswaiyan
                            
                            
                        