Dekhiye Aajj Mehfil Me Lyrics
dekhiye aaj mehfil me
  hum to hoke bindas aaye huye hai
  dekhiye aaj mehfil me
  hum to hoke bindas aaye huye hai
  leke jayenge apni dulhaniya dulhaniya 
  leke jayenge apni dulhaniya 
  sath barat laye huye hai
  sath barat laye huye hai
  sath barat laye huye hai
  leke jayenge apni dulhaniya 
  
  aakhiri waqt hai fikar dil ko
  ab janaja uthega ye kaise
  aakhiri waqt hai fikar dil ko
  ab janaja uthega ye kaise
  ab janaja uthega ye kaise
  jitne aaye hai mayat me meri
  ye jitne aaye hai mayat me meri
  sab ke sab hi lagaye huye hai
  sab ke sab hi lagaye huye hai
  sab ke sab hi lagaye huye hai
  jitne aaye hai mayat me meri
  
  mere dil ki tassali ki khatir
  usne kasid se kahkar ye bheja
  mere dil ki tassali ki khatir
  usne kasid se kahkar ye bheja
  usne kasid se kahkar ye bheja
  ki teri mehfil me kal aayenge hum
  teri mehfil me kal aayenge hum
  aaj mehandi lagaye huye hai
  aaj mehandi lagaye huye hai
  aaj mehandi lagaye huye hai
  ki teri mehfil me kal aayenge hum
  
  aaj kal shaikho pandit ki baate
  tauba tauba are tauba tauba
  aaj kal shaikho pandit ki baate
  tauba tauba are tauba tauba
  tauba tauba are tauba tauba
  kaun ungli uthayega in par
  kaun ungli uthayega in par
  ye to ganga nahaye huye hai
  ye to ganga nahaye huye hai
  ye to ganga nahaye huye hai
  kaun ungli uthayega in par
  tauba tauba are tauba tauba
  tauba tauba are tauba tauba
  tauba tauba are tauba tauba
  tauba tauba are tauba tauba
  tauba tauba are tauba tauba
  ye tauba tauba are tauba tauba
  
  tune daulat ke liye becha hai imaan yaha
  ye nahi socha ke do din ke hai mehman yaha
  shano shaukat ke liye muft me tum marte ho
  maut ko bhul ke kyu
  julmo sitam karte hai
  julm phir julm hai
  sar chadhke sadaye dega
  tumko is daur ka kanun sazaye dega
  garm adqo se hai kai labrej kai jaamo subu
  tumne bhar rakha tijori me
  garibo ka lahu
  aaj mahlo me jara aag lagakar dekho
  chandi sone ki salakho ko dabakar dekho
  inse tapkega garibo ka lahu yaad rahe
  tumne chaha ke sada hontho pe fariyad rahe
  ab ye fariyad uthi kahar ka tufa bankar
  aur koi chattan ise rok na payegi
  magar har sitamgar ke mukabil me hai aakar thahra
  chhin kar fenk diya jayega nakli chehra
  ye mandir wo masjid ke haqdar dekho
  bane aake mehfil me makkar dekho
  hai chehro pe inke sharafat ka gaja
  magar zakhm dete hai har waqt taza
  ye jar pujari ye dhan ke hai lobhi
  ye sunte hai matlab ki baat ho jo bhi
  ye hauaa ki aulad sita ke bete
  fakat apni baaho me daulat samete
  ye kiya hai inhe log kam jante hai
  ye gaddar hai inko hum jante hai
  haqiqat hai kya inki hum bolte hai
  bhram inki baato ka hum kholte hai
  watan me jo gaddar hai inke jaise
  samaj aise dushman ko chhodega kaise
  jo mauka mile to watan bech daale
  watan bech daale watan bech daale 
  mauka mile to
  jo mauka mile to watan bech daale
  ye murdo ke tan ka kafan bech daale
  kafan bech daale kafan bech daale
  ye murdo ke tan ka kafan bech daale
  are kaun ungli uthayega in par
  ab kaun ungli uthayega in par
  ye to ganga nahaye huye hai
  ye to ganga nahaye huye hai
  ye to ganga nahaye huye hai
  o ye to ganga nahaye huye hai
  ye to ganga nahaye huye hai
  o ye to ganga nahaye huye hai
  ye to ganga nahaye huye hai
  o ye to ganga nahaye huye hai
  ye to ganga nahaye huye hai
                            
                            
                        